Ik husn-e-la zawal hain ye aankhein aap ki
qudrat ka ik kamal hain ye aankhein aap ki
hooron ne ki duaein ya rab hamein bhi dey
jannat ka wo jamal hain ye aankhein aap ki
masti, nasha o bekhudi sab aik he jaga
nagin ki mast chaal hain ye aankhein aap ki
ronaq jahan ki hain ye noor-e-qainaat
tohfa e zul jalal hain ye aankhein aap ki
mil na saka ho jinka ab tak kahein jawab
pecheeda wo sawaal hain ye aankhein aap ki
khoya hua tha jinka tasawur liye jameel
wo he haseen khayal hain ye aankhein aap ki.