Author Topic: Meri Gumshudah Mohabbat  (Read 4828 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Meri Gumshudah Mohabbat
« on: March 31, 2007, 05:09:44 PM »
Meri Gumshudah Mohabbat

Chiraagh Haath Mei Liye,
Aksar Mein Dhoondne Nikalta Hoo`n
Apni Gum Shudah Mohabbat.
Lakin Har Baar,
Maayoos Hojata Hoo`n,
Kyun Keh
Har Jagah,
Har Taraf,
Nafrat Hee Nafrat Hai,
Kaha`n Dhoondo`n Mein,
Apni Gumshudah Mohabbat,
es Dunyaa Kee Bheed Mei
Har Taraf Nafrat Ka Phera Hai,
Lakin
Phir Bhi Dil Mei
Aik Umeed Basaaye Bhaita Hoo`n
Keh,
Kaheen Na Kaheen,
Mil Jaayegi
Meri Gumshudah Mohabbat..
___________________________


Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Re: Meri Gumshudah Mohabbat
« Reply #1 on: April 07, 2007, 03:24:36 PM »
es Dunyaa Kee Bheed Mei
Har Taraf Nafrat Ka Phera Hai,
Lakin
Phir Bhi Dil Mei
Aik Umeed Basaaye Bhaita Hoo`n
Keh,
Kaheen Na Kaheen,
Mil Jaayegi
Meri Gumshudah Mohabbat..
___________________________

bro fahad
poetry ka khayal bohot acha hay ...waki dunya mein har taraf nafrat key pherey hein ,,,lakin agar dil mein umed ho to nafrat ki bhiRh mein bhi jiya ja sakta hay ..
likhney ka safar jari rakho ,,khosh raho  :)
Naheed Umer Baloch

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Meri Gumshudah Mohabbat
« Reply #2 on: April 07, 2007, 04:28:38 PM »
es Dunyaa Kee Bheed Mei
Har Taraf Nafrat Ka Phera Hai,
Lakin
Phir Bhi Dil Mei
Aik Umeed Basaaye Bhaita Hoo`n
Keh,
Kaheen Na Kaheen,
Mil Jaayegi
Meri Gumshudah Mohabbat..
___________________________

bro fahad
poetry ka khayal bohot acha hay ...waki dunya mein har taraf nafrat key pherey hein ,,,lakin agar dil mein umed ho to nafrat ki bhiRh mein bhi jiya ja sakta hay ..
likhney ka safar jari rakho ,,khosh raho  :)


Thankx Sis Naheed..
Sis Bilkul Sahi Kaha Aapne Keh Nafrat Ke Bheed Mei Jiya Jaa Sakta Hai Agar Omeed Ho Dil Mei Magar Jab Voh Omeed Bhi Saath Na De Tab Kiya?
Khair Sis Thankx for Ur Valuable Comments...