Author Topic: Patriotism's Urdu Shaairee  (Read 4948 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Adventurous

  • Baask's Asset
  • ***
  • Posts: 166
  • Karma: 6
Patriotism's Urdu Shaairee
« on: October 30, 2009, 12:53:05 AM »
Jis parchai ko hum sath samaj rahe they
Jab palat kar dekha to srif andheera tha
Hum akeely they, sath srif mera tha
Woh to ek gumaan tha,dhunda phir bhut use
Liken woh to ek khayal tha.manga jise haqeqat main
Paya use to khuwab tha,nazrein jise talash kar ke takhti nahi
Palak japka ke dekha to aanso ka ek katra tha
Sath jise samajh rahe they,palat kar dekha to srif andheera tha.....

Offline Estaal

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 63
  • Karma: 0
Re: Patriotism's Urdu Shaairee
« Reply #1 on: October 30, 2009, 01:22:16 AM »
Jis parchai ko hum sath samaj rahe they
Jab palat kar dekha to srif andheera tha
Hum akeely they, sath srif mera tha
Woh to ek gumaan tha,dhunda phir bhut use
Liken woh to ek khayal tha.manga jise haqeqat main
Paya use to khuwab tha,nazrein jise talash kar ke takhti nahi
Palak japka ke dekha to aanso ka ek katra tha
Sath jise samajh rahe they,palat kar dekha to srif andheera tha.....
WAH WAH BAAZ WASH (F)
education i a blessing

Offline Adventurous

  • Baask's Asset
  • ***
  • Posts: 166
  • Karma: 6
Do Pal Ki Khushi...
« Reply #2 on: November 02, 2009, 08:39:02 AM »
Yeh khushi bas do pal ki hain
Is se acha to ghum hain
Yeh roshni bas kuch hi dair ki hain
Is se acha to andheera hain
Yeh hasi do pal ki hain
Is se acha to aanso hain
Yeh shoor o gul to kuch he dair ki hain
Is se acha to khamoshi hain
Tera sath bas kuch hi lamhey hain
Is se acha to tanhai hain
Yeh ronaq to waqti hain
Is se acha to weerana hain
Yeh khushi bas do pal ki hain
Is se acha to ghum hain......

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Do Pal Ki Khushi...
« Reply #3 on: November 02, 2009, 10:23:52 AM »
Yeh khushi bas do pal ki hain
Is se acha to ghum hain
Yeh roshni bas kuch hi dair ki hain
Is se acha to andheera hain
Yeh hasi do pal ki hain
Is se acha to aanso hain
Yeh shoor o gul to kuch he dair ki hain
Is se acha to khamoshi hain
Tera sath bas kuch hi lamhey hain
Is se acha to tanhai hain
Yeh ronaq to waqti hain
Is se acha to weerana hain
Yeh khushi bas do pal ki hain
Is se acha to ghum hain......

Salam mani braat:

Agar yeh aap kee apnii zaati taKhleeq hai tu is par chand baaten' kehna chahoongii umeed hai keh meHsoos naheN kareNge.

aap waaHed ke lafz ke saath Jama'a ka SeeGha iste'maal naheN kar sakte.
"Khushii, Gham, hansii, andheraa" waGhairah yeh tamaam alfaaz WaHed heN aur aap ne inke saath 'hain" iste'maal kiya hai jo Ghalat^ hai aur iske saath "hai" hona chahiye.

phir Urdu Shaairee meN tazkeer o taaneec (Muzakkar o moanic) ka bhi khayaal rakhna zaroori hai.

aap ne likha hai "Is se acha to khamoshi hain" Ghalat^ hai yahaN honaa chahiye "is se achii tu khamoshii hai"



aap kee mazeed taKhleeqaat ka bhi int^izaar rahe gaa

Khair andesh

Your sis
Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Re: Do Pal Ki Khushi...
« Reply #4 on: November 02, 2009, 01:11:07 PM »
salam
do pal ki khushi ....as nazam mein Aap ney jo feeling bayan ki heN wo kabil-e-tarif hay ........lakin meiN bhi sis zahida ki bat sey agree karon gi k Aap ney urdu gramer ka khayal nahi rakha ..... Wahid words k sath Aap ney jama'a words ko astemal kiya hay ....hope k next time Aap khayal rakho gey ....
hameN Aap ki mazid shayiri ka intezar rahey ga...
from
Naheed Umer
Naheed Umer Baloch

Offline Adventurous

  • Baask's Asset
  • ***
  • Posts: 166
  • Karma: 6
Re: Patriotism's Urdu Shaairee
« Reply #5 on: November 17, 2009, 01:38:29 AM »
Kaise kehdo tumey ky pyar ki had kya hai
Kaise kehdo tumey dard ki shiddat kya hai
Kaise kehdo tumey unkahi baato main chupa kya hai
Kaise kehdo tumey pyaas ki had kya hai
Kaise kehdo tumey madhoshi ki waja kya hai
Kaise kehdo tumey dil ki sadaa kya hai
Kaise kehdo tumey khamoshiyun main shoor kyun macha hai.
Kaise kehdo tumey waqt ki marzi kya hai
Kaise kehdo tumey har sheh bey waja kyun hai
Kaise kehdo tumey roshni kyun khafa hai
Kaise kehdo tumey andheera kyun har jaga hai
Kaise kehdo tumey ashqo main dobta har lamha hai
Kaise kehdo tumey sadiyun ki talash kya hai
Kaise kehdo tumey intezaar ky phal kya hai
Ibteda hai yeh ibteda
Kaise kehdo tumey pyaar ki Inteha kya hai
Aagaaze muhabat hai
Kaise kehdo tumey Anjaame muhabat kya hai......

Offline MIR JIHAND BALOCH

  • Seniour Baask
  • ****
  • Posts: 758
  • Karma: 8
Re: Patriotism's Urdu Shaairee
« Reply #6 on: November 17, 2009, 12:59:22 PM »
baaz wash baras

Offline Adventurous

  • Baask's Asset
  • ***
  • Posts: 166
  • Karma: 6
Re: Patriotism's Urdu Shaairee
« Reply #7 on: December 15, 2009, 05:20:11 AM »
Zindagi Ne Hame Aur Hum Ne Zindagi Ko Chor Diya
Zindagi Aur Mout Ki Jang Main,Hum Ne Zindagi Ko Mout Aur Mout Ko Zindagi Samaj Liya
Hum Ne Ghum Ko Khushi Aur Khushi Ko Ghum Samaj Liya
Yahi Zindagi Hai Hum Ne Isi Ko Muqaddar Samaj Liya
Zindagi Ko Mout Aur Mout Ko Zindagi Samaj Liya....