Maine mana hai sada..
Siyasat se mujhe kaam nahi..
Par main andha toh nahi..
Zulm ki pehchaan mujhe..
Jabr ko dekh sakta hon..
Bhasm hue ghar..
Khaakster galiyan.
Gul hue ghar ke chiraagh..
Cheekhti hui aankhen..
Dard se kaanpte hont..
Sehme hue atfaal..
Baap ke saaye se mehroom..
Yeh mere sheer khuwaar..
Haan! En ka ehsaas toh hai..
Main ghair siyaasi hi sahi..
Deed se mehroom nahi..
Dard se aashna hon..
Qaum ke yeh lakht e jigar..
Maa ki aankhon ke noor..
Beh gaye sab..
Khoon ke daryaon mein..
Ab bhi khamosh rahon..
Yeh bhi gwara kar lon..
Ab yeh mumkin na raha..
Main ghair siyasi hi sahi..
Deed se mehroom nahi...