Baask- Home of Balochi Language, Literature & Culture

General Diwan => Hobbies, fun games & Humour => Topic started by: Nohani on January 31, 2006, 09:57:54 PM

Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on January 31, 2006, 09:57:54 PM
DUNIYA JISSAY KEHTE HEIN JADOO KA KHILONA HAI
MIL JAYE TOU MITTI HAI KHO JAYE TOU SONA HAI

BARSAAT KA BAADAL TOU DEEWANA HAI KYA JAANE
KIS RAAH SE BACHNA HAI KIS CHAT KO BHIGONA HAI

ACHA SA KOI MAUSAM TANHA SA KOI AALAM
HER WAQT KA RONA TOU BEKAAR KA RONA HAI

GHAM HO YA KHUSHI DONO KUCH DAIR KE SAATHI HEIN
PHIR RASTA HI RASTA HAI, HANSNA HAI NA RONA HAI


~ NIDA FAZLI
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on January 31, 2006, 09:59:36 PM
DOST BAN BAN KE MILAY MUJHKO MITANAY WALAY
MEIN NE DEKHAY HEIN KAI RANG BADALNAY WALAY

TUM NE CHUP REH KE SITAM AUR BHI DHAYA MUJH PER
TUMSE ACHAY HEIN MERE HAAL PE HANSNAY WALAY

MEIN TOU IKHLAAQ KE HAATHON HI BIKA KARTA HON
AUR HONGE TERE BAZAAR MEIN BIKNAY WALAY

AKHIRI BAAR SALAM-E-DIL-E-MUZTARIB LE LO
PHIR NA LAUTEIN GE SHAB-E-HIJR KE RONAY WALAY
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 01, 2006, 12:16:49 PM
EIK NA EIK ROZ TOU RUKHSAT KARTA
MUJHSE KITNI HI MOHABBAT KARTA

SUB RUTTEIN AA KE CHALI JATI HEIN
MAUSAM E GHAM BHI TOU HIJRAT KARTA

BHERIYE MUJH KO KAHAAN PAA SAKTE
WOH AGAR MERI HIFAZAT KARTA

MERE LEHJAY MEIN GHUROOR AAYA THA
USS KO HUQ THA KEH SHIKAYAT KARTA

KUCH TOU THI MERI KHATA, WARNA WOH KYUN
ISS TARAH TARK E WAFA KARTA

AUR USS SE NA RAHI TALAB KOI
BASS! MERE PYAR KI IZZAT KARTA


~ PARVEEN SHAKIR
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 01, 2006, 12:17:49 PM
KYUN USSAY TU NE BUS EIK PHOOL KAHA HAI MERE DOST
TU NE SHAYAD MERE MEHBOOB KO DEKHA HI NAHIN


TU JISAY ITNI HASEEN CHEEZ SAMAJHTA HAI WOH PHOOL
SOOKH JAYE TOU NIGAAHON KO BURA LAGTA HAI
PHOOL KA APNA KOI RANG KOI ROOP NAHIN
USS KE JHORAY PE SAJA HO TOU BHALA LAGTA HAI
MERA MEHBOOB TOU HER WAQT NAYAA HAI MERE DOST
TU NE SHAYAD MERE MEHBOOB KO DEKHA HI NAHIN


MERE MEHBOOB KI AANKHEIN HEIN WOH GEHRI JHEELEIN
JIN MEIN KHILTE HEIN MERE WAASTE CHAAHAT KE KANWAL
UNN KO DEKHON TOU MUJHE SHAYARI KARNI AA JAYE
AUR MEIN USSKE LYE GAOON MOHABBAT KI GHAZAL
WOH MERE DIL KE DHARAKNE KI SADA HAI MERE DOST
TU NE SHAYAD MERE MEHBOOB KO DEKHA HI NAHIN


MERE MEHBOOB KE JALWON KA NAHIN KOI JAWAAB
'DHOOP SA RANG HAI AUR KHUD HAI WOH CHAOON JAISA'
USKI PAAZEB MEIN BARSAAT KA MAUSAM CHANKAY
SARR PE RESHAM KA DOPATA HAI GHATAAON JAISA
WOH JAHAAN BHAR KE HASEENON SE JUDA HAI MERE DOST
TU NE SHAYAD MERE MEHBOOB KO DEKHA HI NAHIN
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 03, 2006, 11:48:13 AM
EIK UDAAS NAZM

YEH HASEEN SHAAM APNI
ABHI JIS MEIN GHULL RAHI HAI
TERE PAIRHAN KI KHUSHBOO
ABHI JIS MEIN KHIL RAHE HAIN
MERE KHWAAB KE SHAGOOFAY
ZARA DAIR KA HAI MANZAR

ZARA DAIR MEIN UFAQ PER
KHILAY GA KOI SITARA
TERI SIMT DEKH KER WOH
KARE GA KOI ISHARA
TERE DIL KO AAYE GA PHIR
KISI AUR KA BULAWA
KOI KISSA-E-JUDAI

KOI KAAR-E-NAMUKAMAL
KOI KHWAAB-E-NASHAGUFTA
KOI BAAT KEHNE WALI
KISI AUR AADMI SE

HUMEIN CHAAHIYE THA MILNA
KISI EHD-E-MEHRBAAN MEIN
KISI KHWAAB KE YAKEEN MEIN
KISI AUR AASMAAN PER
KISI AUR SARZAMEEN MEIN
HUMEIN CHAAHIYE THA MILNA


~ Parveen Shaker
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 08, 2006, 08:59:30 PM
RAAT AANKHON MEIN DHALI, PALKON PE JUGNOO AAYE
HUM HAWAAON KI TARAH JAA KE USSE CHOO AAYE

BASS GAI HAI MERE EHSAAS MEIN YEH KAISI MEHEK
KOI KHUSHBOO MEIN LAGAOON, TERI KHUSHBOO AAYE

USS NE CHOO KER MUJHE PATHAR SE PHIR INSAAN KYA
MUDDATON BAAD MERI AANKH MEIN AANSOO AAYE

MIEN NE DIN RAAT KHUDA SE YEH DUA MAANGI THI
KOI AAHAT NA HO DAR PER MERE, JUB TU AAYE




Dr. BASHEER BADR
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 12, 2006, 09:58:14 PM
yeh keh rahi hai tujhe choo k aane wali hawa
udaas mein hi nahin be-qarar tu bhi hai

udaasiyon mein kaheen tu na yeh samajh laina
k tere pyar ko mayoos kar raha hoon mein
woh aas jo teri aankhon mein jagmagaai thi
abb uss ko door se mehsoos kar raha hoon mein
bataoon kaise mujhe teri aarzoo bhi hai

sada rahein ge na hum per yeh dooriyon k sitam
taranay pyar k hum gaaein ge kabhi na kabhi
sadaaein dein gi humein jub wafaon ki manzil
yeh faaslay bhi simat jaein ge kabhi na kabhi
humein tou koi baharoN ki justujoo bhi hai

abhi tou hum se yeh haalaat ka taqaza hai
k door reh k bhi hum pyar ko nibhaate rahein
shikan na aaye kabhi zindagi k maathay per
jigar pe chot lage aur muskurate rahein
issi mein apni mohabbat ki aabroo bhi hai

yeh keh rahi hai tujhe choo k aane wali hawa
udaas mein hi nahin be-qarar tu bhi hai



~ Qateel Shifai

Listen it here: http://www.baask.com/gallery/displayimage.php?pos=-255
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 17, 2006, 12:44:52 PM
(http://www.jang.net/adab/images/ghazals/monthly/october2005.gif)
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 19, 2006, 10:50:56 PM
MERE HAATH MEIN QALAM HAI, MERE ZEHN MEIN UJALA
MUJHE KYA DABA SAKE GA KOI ZULMATON KA PALA

MUJHE FIKR-E-AMN-AALAM TUJHE APNI ZAAT KA GHUM
MEIN TULU' HO RAHA HON, TU GHUROOB HONE WALA
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on March 02, 2006, 09:42:03 AM
TUMHARI ANJUMAN SE UTH KE DEEWANE KAHAAN JATE
JO WABASTAA HUI TUMSE WOH AFSAANE KAHAAN JATE

TUMHARI BE-RUKHI NE LAAJ RAKH LI BADAA-KHANE KI
TUM AANKHON SE PILA DETA TOU PAYMAANE KAHAAN JATE

CHALO ACHA HUA KAAM AA GAI DEEWANGI APNI
WAGARNA HUM ZAMANE BHAR KO SAMJHANE KAHAAN JATE

~QATEEL APNA MUQADAR GHAM SE BEGANA AGAR HOTA
PHIR TOU APNE PARAYE HUMSE PEHCHANE KAHAAN JATE


QATEEL SHIFAI
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on March 04, 2006, 10:48:17 AM
SUNA HAI WAQT MARHAM HAI
ZAMANE BHAR KE ZAKHMON KA
SO EIK DIN BHAR HI JAAEIN GE
JO GHAO CHORE JATE HO

MAGAR JAB BHI KOI SADMA
KAHEEN SE BHI MILAY MUJHKO
GHAMON KI SUB RUTON MEIN TUM
BOHOT HI YAAD AATE HO



~ AMER BIN ALI
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on March 17, 2006, 08:39:58 PM
SAFAR TAHNA NAHIN KARTE
SUNO AISA NAHIN KARTE

JISAY SHAFFAF RAKHNA HO
USSE MAILA NAHIN KARTE

TERI AANKHEIN EJAZAT DEIN TOU
HUM KYA KYA NAHIN KARTE

BOHOT UJRAY HUE GHAR PE
BOHOT SOCHA NAHIN KARTE

SAFAR JIS KA MUQADAR HO
USSE ROKA NAHIN KARTE

JO MIL KAR KHUD SE KHO JAYE
USSE RUSWAA NAHIN KARTE

CHALO TUM RAAZ HO APNA
TUMHEIN AFSHAAN NAHIN KARTE

YEH OONCHAY PAIR KAISE HEIN
KAHIN SAYAA NAHIN KARTE

JO DHHUN HO KAR GUZARNE KI
TOU PHIR SOCHA NAHIN KARTE

KABHI HANSNE SE DARTAY HEIN
KABHI ROYA NAHIN KARTE

TERI AANKHON KO PARTAY HEIN
TUJHE DEKHA NAHIN KARTE

SEHAR SE POOCH LO MOHSIN
KEH HUM SOYA NAHIN KARTE



~ MOHSIN NAQVI
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on March 30, 2006, 11:45:35 AM
RAAT YOON DIL MEIN TERI KhOI HUI YAAD AAI
JAISE WEERANAY MEIN CHUPKAY SE BAHAAR AA JAYE
JAISE SEHRAAON MEIN HAULAY SE CHALAY BAAD-E-NASEEM
JAISE BEEMAR KO BEWAJAH QARAAR AA JAYE


~ Faiz Ahmed Faiz
Title: Re: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on April 05, 2006, 09:21:55 AM
ZARA SA QATRA KAHEEN AAJ AGAR UBHARTA HAI
SAMANDARON HI KE LEHJAY MEIN BAAT KARTA HAI

KHULI CHATON KE DIYE KUB KE BUJH GAYE HOTE
KOI TOU HAI JO HAVAAON KE PAR KATARTAA HAI

SHARAFATON KI YAHAN KOI EHMIYAT HI NAHIN
KISI KA KUCH NA BIGAARO TOU KAUN DARTA HAI

ZAMEEN KI KAISI WAQALAT HO PHIR NAHIN CHALTI
JUB AASMAAN SE KOI FAISLA UTARTA HAI

TUM AA GAYE HO TOU PHIR KUCH CHAANDNI SI BAATEIN HON
ZAMEEN PE CHAAND KAHAAN ROZ ROZ UTARTAA HAI


~ WASIM BRAILVI
Title: Re: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on May 02, 2006, 07:40:23 PM
TUMHARE PYARAY HAATHON KE LYE EIK DUA

mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna

aisa lagta hai jo yeh haath dua ko uthein
khud farishtay chale aate hon zameen ki janib
saunp kar mar-marein hathon ki hathaili ko hina
jo bhi maanga ho woh chup chap diye jate hon

mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna

inn ki khushboo se mua'tar hai mera sara wajood
inhein haathon mein mere khwaab chupe hein mola
ungliyaan mujh ko mohabbat mein bhigo daiti hein
inhein pooron ne mere dard chune hein mola

inn ki rag rag mein mohabbat hi mohabbat rakhna
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna

inhein haathoN ki lakeeron mein muqadar hai mera
yeh jo kone mein sitara hai sikandar hai mera
khwaab se narm khayaloN ki tarah nazuk hein
in k her lams mein mere liye chahat rakhna

mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna


~ WASI SHAH
Title: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on October 18, 2006, 11:00:08 AM
Khayal o khwaab hua, barg o baar ka mausam
bichar gaya teri surat, bahaar ka mausam

kai rutoN se mere neem waa dareechoN mein
theher gaya hai tere intezar ka mausam

woh narm lehjay mein kuch tou kahe laut aaye
sama'atoN ki zameen per phuaar ka mausam

payam aaya hai phir eik sar qaamat ka
mere wajod ko khainchay hai daar ka mausam

woh aag hai ke meri poor poor jalti hai
mere badan ko mila hai chanaar ka mausam

rafaqatoN ke naye khwaab khushnuma hein magar
guzar chuka hai tere aitebar ka mausam

hawa chali tou nai baarishein bhi saath aaein
zameen ke chehray pe aaya nikhaar ka mausam

woh mera naam liye jaye aur mein usska naam
lahoo mein goonj raha hai pukaar ka mausam

qadam rakhay meri khushboo ke ghar ko laut aaye
koi bataye mujhe koye yaar ka mausam

woh roz aa ke mujhe apna pyar pehnaaye
mera ghuroor hai bailay ke haar ka mausam

tere tareeq e mohabbat pe baarha socha
yeh jabr tha ke tere ekhtiyar ka mausam


~ Parveen Shaker
Title: Re: NOHANI'S URDU COLLECTION
Post by: Nohani on February 05, 2007, 10:24:45 AM
aah ko chaahiye eik umr asar hone tak
kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak

aashiqi sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karon khoon-e-jigar hone tak

humne manaa ke taghaful na karo ge lekin
khaak ho jaaein ge hum tumko khabar hone tak

gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg elaaj
shama her rang mein jalti hai sehar hone tak

~ Ghalib