Author Topic: maN teri muHabat.  (Read 4552 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
maN teri muHabat.
« on: May 13, 2006, 07:43:47 PM »
(maN teri muHabat )

kitni anmol  haY, maN  teri  muHabat
her roop meiN be-mical haY maN teri chahat

dunya meIN  jina sikha diya, to neY mager
hum ko Aaj bhi haY , maN  teri  zarorat

jab dard howa mujh ko aur mun be-karar howa
her dard ko marham mill gaya dekh ker maN teri surat

meiN kuch bhi nahieN ,meri soch ko nikhara to neY
merey liye misha"l-e- rah haY, maN teri morat

Naheed ki her kamiyabi meiN ,maN teri duayeiN heiN
meri her mushkil Aasan ker deti haY ,maN teri muHabat
Naheed Umer Baloch

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: maN teri muHabat.
« Reply #1 on: May 15, 2006, 12:42:16 PM »
Azeezah Naheed Sis,
Aadaab,

aap kee yeh taKhleeq aap ke dilee jazbaat ka aaheenah daar hai. bohat KhoobSoorat taKhayul aap ne pesh kee hai jiske liye aap daad kee mustaHiq heN.

maa /maat/mother/mom chaye use kisee bhi naam se pukaareN voh azeem hai. aur is zaat ke liye jitnaa bhi likheN shayed bohat kam hai.

aap kee is taKhleeq meN chand ek tekneekii KhamiyaN maujood heN. agar aap kee ijaazat ho tu is par kuch a'rz karooN?

aap ke jawab ka intizaar rahe gaa

Khair andesh
Zahida Raees :Raji:




Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Re: maN teri muHabat.
« Reply #2 on: May 15, 2006, 09:05:07 PM »
salam sis Zahida
ji zaror ager app ko chand khamiyan nazar ati hein .to mujey batayein mujey khoshi ho gi ..
wesey jab bat kerni ho dil ki aur bat ho muhabat ki aur muhabat bhi maN ki muhabat to shayiri key asol , radif aur kawafi kaha yad rehtey hein ,likhney wala jab mumta ki muhabat mein Dob jata hay to be khodi mein likhta hay ,phir kahan hosh rehta hay kisi chiz ka ,, :)
khabi khabi asa hota hay key mun ki bat kheney ko dil kerta hay aur in asol aur radeef key chaker mein dil ki bat adhori reh jati hay ,,aur mein apney dil ki bat ko khena ziyada zarori samagti hon kiyo-k ager radeef aur kawafi ka khayal rakho to mumkin hay merey dil ki bat dil mein hi reh jaye  :)
mujey intezar rahey ga ,app pliz khamiyon ki nishan dahi zaror ki jiye  :)
u r sis
Naheed Umar Baloch
Naheed Umer Baloch

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: maN teri muHabat.
« Reply #3 on: May 16, 2006, 11:37:06 AM »
Bohot Hee Khoob Tehreer Hey Sis Naheed MASHALLAH. :)