Janab Syed Muhammad Murtaza:
Assalam-o-alaikum,
BalochoN kee is meHfil meN ek non-Baloch ko Khush Aamadeed kehtee hooN.
is yaqeen ke saath keh voh kisee ta,aSub ko baRhwaah dene kee Gharz se naheeN aaYe heN.
do IDs se aane kee aap ko hargiz koyii zaroorat naeheN thee lekin shayed aap apne mo,aqif par aRe rehnaa chahte heN
aap Baloch naheeN heN (jo aap ke naam se bhi Zaahir hai) varnah
Rouzard ka jawab aap ke liYe kaafii hootaa.

Khair aap ke t^arz-e-bayaan se lagtaa hai keh aap is baat ko har Soorat caabit karna chahte heN keh Baloch bhi shia heN. (jaise pakistan kee deegar qaumooN meN hai)
is meN aap ka bhi koyii quSoor naheeN hai kyoN keh kuch media kee badaulat aur kuch maHaul kee badault kamzor aqaa,id ke aamil balochooN ne la-shaurii taur par shia-ism aur deegar aqaa,hid ko qubool kar liYaa hai aur yeh bhi shayed chand saalooN meN hoovaa hai is se qabl aisa kuch naheeN thaa. (tareekh iskee gawah hai)
BalochoN kee tareeKh se tu door Balochistan kee taareeKh se bohat se Baloch Khud waaqif naheeN heN isliYe non-Baloch ka na-waaqif honaa baAeed naheeN hai.aur iskee vajah se kayii saarii Ghalat^fehimiyoN ko hawaa milaa hai aur mil rahii hai.
Aap ke naam se aap ehl-e-tasheeH maAloom hote heN aur ham tamaam aqaa,id ke logoN kaa eHtraam karte heN isliYe meree zeyl meN likhii gayii Saaf goyii ko kisee ta,auSub ke zimre meN nah laaYeN tu behtar ho gaa.
**************************
Baloch kabhi shia naheeN the bawajood iske keh voh Iran meN faars ke saath rehte heN.
Afghanistan meN Afghanii shia-oN ke saath rehne ke bawajood voh Alhumdulilah sunnii hee rahe heN.
isee taraH se Pakistan meN charooN taraf shiaoN ke saath rehne kee bawajood kisee sunni ne shia-ism qubool naheeN kee.
ab aate heN un Halaat kee taraf jinkee vajah se aap ko Ghalat^ fehmii hoovii.
Iran meN Khumeni daur ke andar aur iske ba'ad jabrii qaanoon ka nifaaZ hoovaa aur Baloch bachooN ko KhaS kar seestaan Balochistan se bahar rehne waale BalochoN ko deenii taAleem ke naam par shiaoN kee taAleem dee gayii.
Seestan Balochistan meN tu phir bhi Baloch gharooN peh Sunni taAleem de rahe heN aur bache shia sunni ke farq se
waaqif heN.
iskaa matlab hai keh shia-oN kee taAleem kee babat Iran ke Baloch yaa sunnii utnee achii taraH waaqif heN jitnee achii tharaH se Pakistan ke Shia sunniioN ke baare meN.
Iran meN shiaoN ko har qism kee sahoolat bina choonc-haraan' farhaam kee jaatee hai aur is hatta keh aap ka naam agar Umar Farooq yaa Abu-bakr ho tu phir shunaas-naamah (shinaaKhtii Card) tak milne meN dushvarii hootee hai )
is sabab se jabrann shia banne waale BalochoN kee taAadad aap ko kaceer mile gii.
-----
Balochistan se mulHiqah boarders kee taraf rehne waale eHbaab ne bhi apne atraaf ke maHaul aur aqa,hid ko Na-daanistah taur par qubool kar liYa hai KhaS kar Sindh ke NawaYii ilaqooN meN rehne waale BalochoN se sindhiyoN ne BalochoN ka libaas apna liYaa aur "cholo" kee jagah "Pashk" ko apna saqaafatii libaas samajhne lage. isee taraH se balochoN ne unka rehen sehen jis meN unke aqa,aid bhi shaamil heN.
-----
ab ek aur sach aap ko bata dooN shayed keh aap ke ilm meN ho.
Karachi ke gunjaan ilaaqe lYari meN aap ne bohat se balochoN ko maatam karte dekha ho gaa jabke voh shia naheeN heN iskee vajah yeh hai keh bohat se Shia eHbaab GhareebooN ko pese de kar apne naam se maatam karvaate heN aur choNkeh Govt kee mehrbaaniyoN se Lyari ke BalochoN meN Gurbat ka ratio bohat high hai isliYe is mauqe peh paise le ke maatam karvaate heN aur media par naZ^ar aate heN.
***************
Noha Shaahiree kee voh Sinf hai jis meN
shauda-e-karbalah ko Khiraaj pesh kiyaa jaata hai jabkeh "Noha" ka
Aen ham-mAanii lafZ "mootk" hai lekin "mootk" kisee bhi pyaare ke jaane par eHsaasaat ke iZhaar ka naam hai.
"mootk" filbadeeH shaa,iree hai jo kabhi kisee maaN ne apnee aulaad kee maut par keh dee hai tu kisee baap ne apne jawan kee be-waqt maut ke Gham meN. lekin Baluchi adab meN isko KhaS muqaam naheeN hai jaisa keh Shia,oN ke liYe "Noha" waghairah hai.
umeed hai keh aap ko ab mufaSSil jawab mil gayaa ho gaa.
Regards
Rouzard