Author Topic: Sabeel's Collection  (Read 4991 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Sabeel

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 10
  • Karma: 0
Sabeel's Collection
« on: July 30, 2005, 06:14:40 PM »
Baat pholoon ki suna kartay thay
Hum Kabhi shear kaha kartay thay

 (F)

Offline Sabeel

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 10
  • Karma: 0
Hum Badee dor say ayay hain tumharee khatir
« Reply #1 on: July 30, 2005, 06:23:21 PM »
Hum Badee door say aayay hain tumharee khatir
Dil kay armaan bhi layay hain tumharee khatir

kitni benaam umedoon kay diyay pechlay pehar
hum nay darya mein bahayay hain tumharee khatir

hum wahan thay kay jahaan sagar - o - meena thay madam
doustoon ! loat kay ayay hain tumharee khatir

(F)

Offline Nohani

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 993
  • Karma: 44
    • Home of Balochi Literature
Re: Hum Badee dor say ayay hain tumharee khatir
« Reply #2 on: July 30, 2005, 07:27:03 PM »
Quote from: Sabeel
Hum Badee door say aayay hain tumharee khatir
Dil kay armaan bhi layay hain tumharee khatir

kitni benaam umedoon kay diyay pechlay pehar
hum nay darya mein bahayay hain tumharee khatir

hum wahan thay kay jahaan sagar - o - meena thay madam
doustoon ! loat kay ayay hain tumharee khatir

(F)


waah Sabeel saheb .. kya kehiye .. bohot khoob  :)

specially yeh sher

hum wahan thay kay jahaan sagar - o - meena thay madam
doustoon ! loat kay ayay hain tumharee khatir

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • *****
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Sabeel's Collection
« Reply #3 on: July 31, 2005, 07:31:09 PM »
Hum Badee door say aayay hain tumharee khatir
Dil kay armaan bhi layay hain tumharee khatir

bohot khob  :) kiya kheney (F)
Naheed Umer Baloch

Offline Sabeel

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 10
  • Karma: 0
Mohabbat ko sazayain mil rahee hain
« Reply #4 on: August 01, 2005, 06:19:39 PM »
Buzargon ki duwaein mil rahee hain
Mohabbat ko sazayain mil rahee hain

Farozaan hain tumharay ghum ki deepak
Badee roshan fizayain mil rahee hain

Hasein Ghaisoo hain shanoon pay parashan
Galay un say ghataein mil rahee hain

tera aanchal huwa main udh raha hai
Taranoon ki nawaeen mil rahee hain

"Wafaoon ka sila Sagar watan mein
Buhat arzaan jafaeen mil rahee hain"

Offline STONER

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 98
  • Karma: 3
Sabeel's Collection
« Reply #5 on: August 02, 2005, 09:16:38 PM »
Quote
"Wafaoon ka sila Sagar watan mein
Buhat arzaan jafaeen mil rahee hain"


Wah Wah bohot khoob... thanx for sharing.
YOU START SOMETHING WE END IT

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Hum Badee dor say ayay hain tumharee khatir
« Reply #6 on: August 08, 2005, 04:29:22 PM »
Quote from: Sabeel

kitni benaam umedoon kay diyay pechlay pehar
hum nay darya mein bahayay hain tumharee khatir

(F)


bohat hee khoobsoorat collection hai thanks for sharing  :)  (F)
Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline Sabeel

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 10
  • Karma: 0
Thanks...
« Reply #7 on: August 08, 2005, 05:44:41 PM »
Gohaar Raji,

Mann Baaz wash bootaant kay shuma manee majmooya-e tareef kurt.
Umaidain kay shuma aeenda bhi main Majmooya-e tareef
kanay.aur mann baraath stoner-e hoon shukarwaroon kay ayee  ho manee majmooya-e tareef kutag


Shumay Dorsaina nee,

Sabeel

 (F)

Offline Sabeel

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 10
  • Karma: 0
Teray Khat Anay say dil ko meray Aaraam kia hoga
« Reply #8 on: August 17, 2005, 06:01:50 PM »
Teray Khat Anay say dil ko meray Aaraam kia hoga
Khuda Janay kay iss Aghaz ka Anjaam kia Hoga

Na doa tarjeeh Ay Khobaan kisi ko mujh pay ghurbbat mein
Ziyaada mujh say koi bay kass-o nakaam kia hoga

Mujhay matt dair say takleef kar kaabay kay Ay Zahid
Jo mera kufr aisa hai tou phir islam kia hoga

Magr layaqq nahin iss doar main hum baadaa khuwaree kay
Jo deway ga tou Ay saaqi,hamain bhi Jaam kia hoga

Kisee dein daar wo kaffir ko khiyaal itna nahin aata
Sihar kiya ho chukee “sauda” kay dil par shaam, kia hoga‎

Best Regards,

Sabeel (F)

Offline Sabeel

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 10
  • Karma: 0
Aakay Patharr tou meray sihan main do chaar ghiray .......
« Reply #9 on: September 24, 2005, 04:20:22 PM »
Aakay Patharr tou meray sihan main do chaar ghiray
Jitnay Uss paidh kay phall thay pas-e dewaar ghiray

Mujhay ghirna hai tou main apnay hee kadmoon main ghiroon
Jis Tarah Saya-ay diwaar pay diwaar ghiray

Daikh kay apnay dar-o baam, Laraz jaatha hoon
Meray Humsayay main jab bhi koi dewaar giray

Waqt kee doar khuda janay kahan say totay
Kiss ghadee sir pay yeh Latkee huwee talwaar ghiray

Haath aaya naheen Kuch raat kay daldal kay siwa
Hayay kiss moad pay khawaboon kay paristaar Giray



Best Regards,

Shumay Dorsainan-e Baask  (F)