yeh keh rahi hai tujhe choo k aane wali hawa
udaas mein hi nahin be-qarar tu bhi hai
udaasiyon mein kaheen tu na yeh samajh laina
k tere pyar ko mayoos kar raha hoon mein
woh aas jo teri aankhon mein jagmagaai thi
abb uss ko door se mehsoos kar raha hoon mein
bataoon kaise mujhe teri aarzoo bhi hai
sada rahein ge na hum per yeh dooriyon k sitam
taranay pyar k hum gaaein ge kabhi na kabhi
sadaaein dein gi humein jub wafaon ki manzil
yeh faaslay bhi simat jaein ge kabhi na kabhi
humein tou koi baharoN ki justujoo bhi hai
abhi tou hum se yah haalaat ka taqaza hai
k door reh k bhi hum pyar ko nibhaate rahein
shikan na aaye kabhi zindagi k maathay per
jigar pe chot lage aur muskurate rahein
issi mein apni mohabbat ki aabroo bhi hai
yeh keh rahi hai tujhe choo k aane wali hawa
udaas mein hi nahin be-qarar tu bhi hai
qateel shifai