Author Topic: TUMHARE PYARAY HAATHON KE LIYE EIK NAZM  (Read 3201 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Nohani

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 993
  • Karma: 44
    • Home of Balochi Literature
TUMHARE PYARAY HAATHON KE LIYE EIK NAZM
« on: August 08, 2005, 08:38:20 AM »
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna

aisa lagta hai jo yeh haath dua ko uthein
khud farishtay chale aate hon zameen ki janib
saunp kar mar-marein hathon ki hathaili ko hina
jo bhi maanga ho woh chup chap diye jate hon

mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna

inn ki khushboo se mua'tar hai mera sara wajood
inhein haathon mein mere khwaab chupe hein mola
ungliyaan mujh ko mohabbat mein bhigo daiti hein
inhein pooron ne mere dard chune hein mola

inn ki rag rag mein mohabbat hi mohabbat rakhna
mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna

inhein haathoN ki lakeeron mein muqadar hai mera
yeh jo kone mein sitara hai sikandar hai mera
khwaab se narm khayaloN ki tarah nazuk hein
in k her lams mein mere liye chahat rakhna

mere mola yeh haseeN haath salamat rakhna


~ WASI SHAH

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • *****
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
TUMHARE PYARAY HAATHON KE LIYE EIK NAZM
« Reply #1 on: August 08, 2005, 01:56:21 PM »
bohot khob  (F)
Naheed Umer Baloch

Offline Nohani

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 993
  • Karma: 44
    • Home of Balochi Literature
TUMHARE PYARAY HAATHON KE LIYE EIK NAZM
« Reply #2 on: August 08, 2005, 08:13:07 PM »
SHUKRIYA NAHEED.

BOHOT ARSA HUA AAPKA KALAAM PARHAY HUE. KUCH TAZA SHARE KIJIYE GA

Offline Imran Mullahzai

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 159
  • Karma: 3
    • http://www.apniisp.com
TUMHARE PYARAY HAATHON KE LIYE EIK NAZM
« Reply #3 on: August 10, 2005, 02:04:26 PM »
Nice Job Nohani, Waqai ya mere Mola Yeh Haseen Haath Salamat Rakhna, abi inko bohot se Nazam Likhne hain,  (F)  (F)  :)