gar jeet gaye tu kyaa kehnaa! haare bhi tu baazii maat naheeN
be-intihaa KhoobSoorat sharing hai dear brother. Faiz SaaHeb ke kuch aur kalaam bhi share kar leejiye gaa. mujhe intizaar rahe gaa
SHUKRYA, FAIZ KE KALAAM KO SARAAHNE KE LYE. AAPKI FARMAAISH PER EIK AUR TEHREER PAISH KAR RAHA HON UMEED HAI PASAND AAYE GI
ye kis Khalish ne phir is dil meIn aashiyana kiya
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiya
Gam-e-jahaan ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-aduu
salook jis se kiya hamane aashiqaanaa kiya
thay Khaak-e-raah bhi ham log qahar-e-tufaaN bhi
sahaa to kya na sahaa, aur kiya to kya na kiya
Khushaa ke aaj har ik muddaee ke lab par hai
vo raaz jis ne hamein raaNd-e-zamaanaa kiya
vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii
kiya bhi "Faiz" to kis but se dostaanaa kiya[hiilaagar=one who makes excuses; vafaajuu=faithful (in love)]
[jafaaKhuu=unfaithful by habit]