salam ahal_e_meHfil
kohlo aur Dera bhugTi meiN jo ho raha haY ,IN Halat seY Aap aur hum
achi t^arHa wakif heiN,
internet per kohlo meiN merneY waleY bachoN ki pic jab meri nazar seY
guzreiN ,wo pic dekh ker meiN neY jo feel kiya wo sab meri naz^am meiN
sama gaya ,
bohot der bina socheY samjeY kaghaz ko siya kerti rahi ,,mujeY kuch
hosh nahieN tha ,bas ak dard ki kefiyat merey qalam meiN sama gayi ,
ger_aradi t^or per apney qalam ko dard ki siyahi meiN Dobo ker likhti
rahi ,,
jo kuch bhi likha ger_aradi t^or per likha ,phir khayal aya kiyo na
apni naz^am Aap sub seY share karoN ,,
kitna sasta haY
khon hamara
jab chaha baha diya
jab bhi Aawaz aThayi Haq ki
to as ko baGawat ka nam diya
aur
dherti maN per
khon ki holi kheli gayi
kohlo aur Dera buGti meiN
loG merteY gaye
Aakhir kab tak!
Z^ulam ki kali rat raheY gi
AansoyoN ki barsat raheY gi
bohot sah liya
bohot ho gaya
ab chop raha na jayeY
aur Z^ulam saha na jayeY
zakhmoN sey roH tak sangsar haY
Z^ulam sehneY seY ab hameiN inkar haY
shayid!
tum janteY nahieN Baloch ko
as ki himat as ki soch ko
lakh Z^ulam Dhayo
khabi na Hosla miTey ga
her sitam Aazmayo
hamara arada na ToTeY ga
jab bhi tum
dharti maN per
khon ki holi khelo geY
to!
Baloch jawan
apni maN ki Hifazat keliye
merteY dam tak laReiN geY
haN !
Aaj Z^ulam ki kali rat haY
mager hameiN yakeen haY
kal naya suraj nikleY ga
hum apneY SeHrayoN ko gulzar kareiN geY
dharti maN ko gulnar kareiN geY
agar haY shoq,
tume khon bahaneY ka
to hameiN haY shok ,
mot ko galeY laganeY ka
tum kitnoN ka khon bahayo geY
kab tak sach ki Aawaz dabayo geY
Aakhir ak din!
tum jan jayo geY
Baloch na miTa haY
na miTeY ga
Baloch na ToTa haY
na ToTeY ga
Baloch na hara haY
na hareY ga
tum shok seY kheloN
khon ki holi!
mager ye soch lo
mager ye jan lo
key !
khon_e_na Haq jo tum neY bahaya
ak din ye khon
sar chaR ker boleY ga
apna Haq mang ker raheY ga
aur as din
tum jan jayo geY
hamara khon pani nahieN haY !
hamara khon sasta nahieN haY !