Khayal o khwaab hua, barg o baar ka mausam
bichar gaya teri surat, bahaar ka mausam
kai rutoN se mere neem waa dareechoN mein
theher gaya hai tere intezar ka mausam
woh narm lehjay mein kuch tou kahe laut aaye
sama'atoN ki zameen per phuaar ka mausam
payam aaya hai phir eik sar qaamat ka
mere wajod ko khainchay hai daar ka mausam
woh aag hai ke meri poor poor jalti hai
mere badan ko mila hai chanaar ka mausam
rafaqatoN ke naye khwaab khushnuma hein magar
guzar chuka hai tere aitebar ka mausam
hawa chali tou nai baarishein bhi saath aaein
zameen ke chehray pe aaya nikhaar ka mausam
woh mera naam liye jaye aur mein usska naam
lahoo mein goonj raha hai pukaar ka mausam
qadam rakhay meri khushboo ke ghar ko laut aaye
koi bataye mujhe koye yaar ka mausam
woh roz aa ke mujhe apna pyar pehnaaye
mera ghuroor hai bailay ke haar ka mausam
tere tareeq e mohabbat pe baarha socha
yeh jabr tha ke tere ekhtiyar ka mausam
~ Parveen Shaker