Welcome,
Guest
. Please
login
or
register
.
1 Hour
1 Day
1 Week
1 Month
Forever
Login with username, password and session length
News:
Home
Forum
Help
Search
Calendar
Login
Register
Baask- Home of Balochi Language, Literature & Culture
»
General Diwan
»
Hobbies, fun games & Humour
(Moderator:
ناہید بلوچ Naheed Baloch
) »
SAd URdu PoeTry
« previous
next »
Print
Pages: [
1
]
Go Down
Author
Topic: SAd URdu PoeTry (Read 7409 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
on:
February 04, 2006, 11:28:26 AM »
Ashko,n ne bujhai hai Gham ki Aag
Taqdeer mein meri Tanhai hai
Aata hai Nazar Shab-e-Hijra mein yoon
Saaya mera Raat ki Siyahi hai
Ban gayi hai Zaher har Saans meri
Kahne ko to Jaan pe ban Aayi hai
Nikle magar ek Aah bhi to
Paak Muhobbat ki Ruswai hai
Logged
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
Reply #1 on:
February 04, 2006, 11:30:33 AM »
Tum laut ke aaogi humse milne
Roz dil ko behlane ki aadat hogaye
Tere waade peh kya bharosa kiya humne
Keh shab bhar tera intezaar karne ki aadat hogayee
Hushi mein bhi hum kya muskurate keh
Teri judaai mein rone ki aadat hogaye
Har morh par mili ghum ki parchhaiyan
Zindagi se samjhota karne ki aadat hogaye
Jaante the ke nahi hosakte kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhey maangne ki aadat hogaye
Logged
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
Reply #2 on:
February 04, 2006, 11:32:23 AM »
Dil to sabhi jalate hain mohabbat main magar
Hum teri yaad main khud ko jalaye baithe hain
Na jaane kab hogi tumse mulakat
Aankho main ashqo ka sailab liye baithe hain
Kahi mout na aajaye milane se pahle hi,
Tujhase Milan ki aas main daman bachaye baithe hain
Katra Katra jindagi gujar rahi hai bin tere
Mohabbat ka rog dil ko lagaye baithe hain
Kahi khatam na ho jaye jindagi ka ye safar
Is safar ke liye jindagi aur mout shart la gaye baithe hain
Tere aane ka hi hai intezaar sirf is dil ko
Hum to haatho se apni arthi sajaye baithe hain
Logged
Saima Baloch
Creative Baask
Posts: 272
Karma: 2
Sad urdu poetry
«
Reply #3 on:
February 04, 2006, 01:03:10 PM »
Nice poetry Fahad
Logged
ناہید بلوچ Naheed Baloch
Global Moderator
Posts: 438
Karma: 20
SAd URdu PoeTry
«
Reply #4 on:
February 05, 2006, 07:10:17 PM »
Nice post
Logged
Naheed Umer Baloch
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
Reply #5 on:
February 08, 2006, 03:06:25 PM »
Thank you So Much For Liking My Posts.
Khwaab een Ankhon se ab koi chura kar le Jaye
Kabra ke sukhe huwe Phool oothha kar le Jaye
Muntzar Phool mein khushboo ki tarah hoon kab se
Koi Jhonke ki tarah Aaye Uda ke le Jaye
Yeh bhi Paani hai magar Ankhon ka aiasa Paani
Jo hathheli pe rachi Mehndi chhada kar le Jaye
Mai Muhobbat se bhatakta huwa Khat hoon Mujh ko
Zindagi apni Kitabon mein daba kar le Jaye
Khak Insaaf hai Nabeenan Booton ke Aage
Raat Thhali mein Charagon ko Saja kar le Jaye
Logged
Rind Baba
'''--Top Gun--'''
Global Moderator
Posts: 2060
Karma: 212
Zendag Baat baloch Raaj ♡
SAd URdu PoeTry
«
Reply #6 on:
February 08, 2006, 11:36:20 PM »
Good Sharing Brother fahad!!
Ghalib
Love has left me, O Ghalib, a good-for-nothing,
Otherwise a useful man I was.
Logged
You can chain me, you can torture me, you can even destroy this body, but you will never imprison my mind.
Long Live Baloch & Balochistan
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
Reply #7 on:
February 10, 2006, 03:44:14 PM »
dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii
silavaTe.n roshanii me.n ubharengii
ghar kii diivaare.n mere jaane par
apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii
u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii
rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n
Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii
ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar
duusarii nikahate.n jaka.D lengii
khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n
baarishe.n phir bhii dastake.n dengii
Logged
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
Reply #8 on:
February 10, 2006, 03:46:53 PM »
A Ghazal Written By Javed Akhtar..
dard ke phuul bhii khilate hai.n bikhar jaate hai.n
zaKhm kaise bhii ho.n kuchh roz me.n bhar jaate hai.n
raastaa roke kha.Dii hai yahii uljhan kab se
ko_ii puuchhe to kahe.n kyaa ki kidhar jaate hai.n
chhat ki khi.Dakiyo.n se utarate hai.n mere Khvaab magar
merii diivaaro.n se Takaraa ke bikhar jaate hai.n
narm aavaaz bhalii baate.n mohazzab lahaje
pahalii baarish me.n hii ye rang utar jaate hai.n
us dariiche me.n bhii ab ko_ii nahii.n aur ham bhii
sar jhukaaye huye chup-chaap guzar jaate hai.n
Logged
Zahida Raees Raji
Administrator
Posts: 7107
Karma: 356
SAd URdu PoeTry
«
Reply #9 on:
February 11, 2006, 11:26:40 AM »
Dear Fahad,
This section is dedicated to the Baloch writers / poets only.
so pls dont share your collection here in this section. Hobbies is dedicated for this kind of stuff.
I am moving your thread.
Thanks
Yours sister
Logged
Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line
Perozai R!nd
Baloch
Creative Baask
Posts: 2685
Karma: 75
SAd URdu PoeTry
«
Reply #10 on:
February 11, 2006, 08:45:02 PM »
Ok U May Leave These Posts.SO plz Move These.
Logged
Print
Pages: [
1
]
Go Up
« previous
next »
Baask- Home of Balochi Language, Literature & Culture
»
General Diwan
»
Hobbies, fun games & Humour
(Moderator:
ناہید بلوچ Naheed Baloch
) »
SAd URdu PoeTry