Musafar tu bichartay hain, Rafaqat kab badaltee hai
Mohabbat zinda rehti hai, Mohabbat kab badaltee hai
Tumhi ko chahtay hain hum, Tum hee say payar kartay hain
Yeh hee barsoon say aadat hai, Yeh aadat kab badaltee hai
Tumhein jo yaad rakha hai, Yeh hee apni ibaadat hai
Ibaadat karnay waloon kee ibaadat kab badaltee hai
Kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hai
Yeh hee qanoon-e-fitrat hai so fitrat kab badaltee hai
Jo dil par naqash ho jaye, Nighahon main simat aaey
Alamat hai yeh chahat kee to chahat kab badaltee hai
Puranay zakhm ko Arshad bhula daina hee acha hai
Agar chahay na khud koi to kismat kab badaltee hai