Author Topic: Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir  (Read 5955 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline زینوک Zenok

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 164
  • Karma: 10
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« on: March 20, 2006, 04:48:58 PM »
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat Guzar Ga ai Jaanaa
Dhuup Aankho Tak Aa Pahunchii Hai Raat Guzar Ga ai Jaanaa

Bhor Samay Tak Jis Ne Hamen Baaham Uljhaaye Rakhaa
Vo Albelii Resham Jaisii Baat Guzar Ga ai Jaanaa

Sadaa Kii Dekhii Raat Hamae Is Baar Milii To Chup Ke Se
Khaalii Haath Pe Rakh Ke Kyaa Saugaat Guzar Ga ai Jaanaa

Kis Konpal Kii Aas Maen Ab Tak Vaise Hii Sar-Sabz Ho Tum
Ab To Dhuup Kaa Mausam Hai Barasaat Guzar Ga ai Jaanaa

Log Na Jaane Kin Raaton Kii Muuraaden Maangaa Karate Hain
Apanii Raat To Vo Jo Tere Saath Guzar Ga ai Jaanaa


Parveen Shakir
Image Hosted by ImageShack.us

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • *****
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #1 on: March 20, 2006, 08:28:55 PM »
bohot khob  :) bohot umda gazal hay
thanks 4 shairing with us
Naheed Umer Baloch

Offline Nohani

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 993
  • Karma: 44
    • Home of Balochi Literature
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #2 on: March 20, 2006, 09:20:05 PM »
Aizar Sahiba,

guzray waqt mein dard ke jo lamhaat thay, unn per likhi gai Parveen Shaker kii yeh ghazal mujhe bohot pasand hai

is baat par mujhe Parveen Shaker ka hi ek aur sher yaad aa raha hai, jo hazir-e-khidmat hai

JAANE KUB TAK TERI TASWEER NIGAHON MEIN RAHI
HO GAI RAAT TERE AKS KO TAKTAY TAKTAY

MEIN NE PHIR TERE TASAWUR KE KISI LAMHAY MEIN
TERI TASWEER PE LUB RAKH DIYE AHISTA SE

Offline زینوک Zenok

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 164
  • Karma: 10
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #3 on: March 21, 2006, 01:56:57 PM »
Quote
JAANE KUB TAK TERI TASWEER NIGAHON MEIN RAHI
HO GAI RAAT TERE AKS KO TAKTAY TAKTAY

MEIN NE PHIR TERE TASAWUR KE KISI LAMHAY MEIN
TERI TASWEER PE LUB RAKH DIYE AHISTA SE


Bohut Khoob,  Parveen jii ki ek aur nazm hazir-e- khidmat hae.

Gumaan

Main Kachchii Niind Maen Huun
Aur Apni Niim Khvaabidaa Tanaffus Maen Utaratii
Chaandnii Kii Chaap Sunatii Huun
Gumaan Hai
Aaj Bhii Shaayad
Mere Maathe Pe Tere Lab
Sitaare Sabaat Karate Hain
Image Hosted by ImageShack.us

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #4 on: March 21, 2006, 02:35:00 PM »
Very Nice Sharing Of Parveen Shair,s Poetry.I Also Wanna Share this One With All of you.i hope u all like this one too.



Offline گوادری Gwaduri

  • Baask's Asset
  • ***
  • Posts: 252
  • Karma: 37
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #5 on: March 21, 2006, 02:36:34 PM »
hi there

 i am sure u guys must have heard about the cassette or CD, Pazeerahi-a tribute to Parveen Shakir,  by Tina Sani...

 If not try tht.. it's really good...

 i like this particular shehr of Parveen Shakir

 Hahey ri Jaan ke Guzarney se bada Sahniha ho
 Shaoqe parvaaz ka tootey howay par main rehna
Maara Tappi Kotag Hama Teera
Anga tai dedage kamaan'a hain

Offline Nohani

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 993
  • Karma: 44
    • Home of Balochi Literature
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #6 on: March 21, 2006, 02:50:01 PM »
Hi Ahmed

I often do listen to this album. Its a wonderful work by Tina Sani. All the tracks are good specially "Yeh Haseen Shaam Apni".

EIK UDAAS NAZM

YEH HASEEN SHAAM APNI
ABHI JIS MEIN GHULL RAHI HAI
TERE PAIRHAN KI KHUSHBOO
ABHI JIS MEIN KHIL RAHE HAIN
MERE KHWAAB KE SHAGOOFAY
ZARA DAIR KA HAI MANZAR

ZARA DAIR MEIN UFAQ PER
KHILAY GA KOI SITARA
TERI SIMT DEKH KER WOH
KARE GA KOI ISHARA
TERE DIL KO AAYE GA PHIR
KISI AUR KA BULAWA
KOI KISSA-E-JUDAI

KOI KAAR-E-NAMUKAMAL
KOI KHWAAB-E-NASHAGUFTA
KOI BAAT KEHNE WALI
KISI AUR AADMI SE

HUMEIN CHAAHIYE THA MILNA
KISI EHD-E-MEHRBAAN MEIN
KISI KHWAAB KE YAKEEN MEIN
KISI AUR AASMAAN PER
KISI AUR SARZAMEEN MEIN
HUMEIN CHAAHIYE THA MILNA


~ Parveen Shaker

Offline زینوک Zenok

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 164
  • Karma: 10
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #7 on: March 21, 2006, 03:58:05 PM »
Quote from: fahad
Very Nice Sharing Of Parveen Shair,s Poetry.I Also Wanna Share this One With All of you.i hope u all like this one too.



Bohut Touching Hae. Parveen ki her Nazam aur ghazal maen eik apnaaiyat hae.
Image Hosted by ImageShack.us

Offline زینوک Zenok

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 164
  • Karma: 10
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #8 on: March 21, 2006, 04:08:14 PM »
Quote from: Nohani

HUMEIN CHAAHIYE THA MILNA
KISI EHD-E-MEHRBAAN MEIN
KISI KHWAAB KE YAKEEN MEIN
KISI AUR AASMAAN PER
KISI AUR SARZAMEEN MEIN
HUMEIN CHAAHIYE THA MILNA
[/color]

~ Parveen Shaker


Bohut Khoobsoorat Lines haen yeh. Thanx 4 sharing.
Image Hosted by ImageShack.us

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • *****
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Sundar Komal Sapanon Kii Baaraat....- Parveen Shakir
« Reply #9 on: March 22, 2006, 08:23:08 PM »
ye jhuki jhuki AankheiN
ye ruka ruka leHja
lab pe bar bar Aah keY
ToTta howa fiqra
gard meiN aTi palkeiN
dhop seY tapa chara
ser jhokaye Aaya haY
ak umer ka bhola
dil hazar kheta haY
hath tham loN us ka
chom loN ye peshani
loTneY na doN tanha
koyi dil seY kheta haY
sareY Hirf jhoTeY heiN
atbar mat kerna !
atbar mat kerna!
(parveen shakir)
Naheed Umer Baloch