Author Topic: Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch  (Read 19277 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch
« on: July 23, 2006, 09:54:28 PM »
Tera Intezar kerti heiN

Guzarta hooN MeiN ,in RaahoN Per Aaj bhi
Jin RaahoN Per khabi
Tum MereY Sath Howa kerti thi
Mager
ab na JaneY kiyon
Sunsan Si nazar Aati heiN wo RaaheiN
jo khabi HamareY Piyar keY deep SeY
Roshan Howa Kerti thi
Mager
Ab her Taraf Andhera HeY
Her Taraf Virani Hey
Shayed
In RaahoN ko Bhi TereY Aaney ka Intezar heY
Ab To LouT Aa
kiyon keh
Ye Sunsaan RaaheiN bhi
Tera Naam Leti heiN
Subah o Sham
Tera Intezar kerti  heiN


Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Bohat Khoob dear brother Fahad Naseer Baloch
« Reply #1 on: July 24, 2006, 10:20:58 PM »
Dear brother Fahad,
sab se pahle tu meree janib se pahlee naZm taKhleeq karne par dherooN daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
aap kee yeh koshish pasand aaYii hai.
nazmooN ke Hawale se Faiz Ahmed Faiz ka koyii caanii naheeN. koshish keejiye keh unkee bhi study keejiye is se zehn ke dareeche khuleNge aur naye naye mazameen aap ke zehn meN aaheNge.

aap kee mazeed taKhleeqaat ka bhi intizaar rahe gaa

Khush rahiye

dua'a go

aap kee baaji

Zahida Raees :Raji:
Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Bohat Khoob dear brother Fahad Naseer Baloch
« Reply #2 on: July 24, 2006, 11:05:48 PM »
Dear brother Fahad,
sab se pahle tu meree janib se pahlee naZm taKhleeq karne par dherooN daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
aap kee yeh koshish pasand aaYii hai.
nazmooN ke Hawale se Faiz Ahmed Faiz ka koyii caanii naheeN. koshish keejiye keh unkee bhi study keejiye is se zehn ke dareeche khuleNge aur naye naye mazameen aap ke zehn meN aaheNge.

aap kee mazeed taKhleeqaat ka bhi intizaar rahe gaa

Khush rahiye

dua'a go

aap kee baaji

Zahida Raees :Raji:



Thankx For Liking The Nazm Sis Raji And Also Thank you So Much For Giving Me Such Useful Decisions.Sure I Will Study lakin Aaj kal Exams Ki Wajah Se Busy ta.Now i am Free.INSHALLAh I Will Try To Write Some More.....
Once Again thank you So Much Dear Sis Raji..

Ur Bro
FAhad


Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #3 on: July 25, 2006, 08:11:06 PM »
sweet brother Fahad
app ki nazm bohot khobsurat hay ,meri taraf sey pheli nazam likhney per mubarik bad key phool hazir hein kabol ki jiye ga (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F)
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey .
u r sis
Naheed Baloch
Naheed Umer Baloch

Offline Wadareeg وداریگ

  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 506
  • Karma: 66
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #4 on: July 25, 2006, 09:22:18 PM »
Quote
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey

 I think sunder is a hindi word  :hehe:  :mrgreen: Its not urdu
Although you tried alot as i can see but some time it happens
Any way it was just for fun dont take my words on heart
 

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #5 on: July 25, 2006, 10:42:25 PM »
sweet brother Fahad
app ki nazm bohot khobsurat hay ,meri taraf sey pheli nazam likhney per mubarik bad key phool hazir hein kabol ki jiye ga (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F) (F)
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey .
u r sis
Naheed Baloch


Thank You SoooOOoooOOOOoooooooOOOoooOOo Much Sweet Sis Naheed.Itne Phool Dekar Mera Bojh Kyun Badha Diya Pata nahee In PhooloN Ka Wazan Kiya Hey Ye Mein tasavur Bhi nahee Kar sakta.One Thing Sis I Must have To Add Here This Is All BCoz Of Your Helping.Iam So Much ThankfulTo You Sis.
Mein Aapka Behad Mamnoon Hoon Sis Naheed.
(F)


Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #6 on: July 25, 2006, 10:49:11 PM »
Quote
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey

 I think sunder is a hindi word  :hehe:  :mrgreen: Its not urdu
Although you tried alot as i can see but some time it happens
Any way it was just for fun dont take my words on heart
 

Dear Brother Maana Keh Sundar Hindi Zuban ka lafz hey Lakin Baask Ne Koi Papandi Nahee Lagayee hey Hindi Zuban Use Karne Ka.
So Jo Bhi Hey Yahan Humein Sweekaar Karna Chahye :)


Offline Wadareeg وداریگ

  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 506
  • Karma: 66
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch
« Reply #7 on: July 25, 2006, 11:58:55 PM »
 :) It was just for fun nothing else
Bebaksh e agan man haraben gap e korta

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #8 on: July 26, 2006, 09:56:52 AM »
Quote
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey

 I think sunder is a hindi word  :hehe:  :mrgreen: Its not urdu
Although you tried alot as i can see but some time it happens
Any way it was just for fun dont take my words on heart
 




Brother, Urdu Adab meN ab Hindi aur Punjaabi alfaaz kee ijazat asaatizah ne bhi de dee hai keh Pakistan meN Urdu Adab ko aage baRhaane waale Punjabi heN aur Hindustan ke beshtar ilaqooN meN Urdu ke oopar hindi ka tasslut aa gayaa hai.

is se qabl Urdu meN Arabic aur faarsi kee hee ijaazat thee.

Lekin ek baat ko yaad rakhnaa ashad zaroori hai keh shaahiree yaa nacr meN koyii bhi tarkeeb (do lafzooN ka murakkab) banate waqt do muKhltalif zabanooN ka intiKhaab nah kiyaa jaaYe keh Urdu shaahiree meN iskee ijazat naheN hai.
jaise shaam-o-saHar (donoN alfaaz faarsi ke heN) lail-o-nahaar (donooN alfaaz Aarbi ke heN) poorab-pacham (donooN alfaaz hindi ke heN ) kee khulee aazaadii hai. agar shaahiree vazan meN hai aur kisee ek lafz kee maujoodgii kee vajah se uske vazan meN farq aa raha hai tu aap use ham wazan - ham ma'ana lafz doosree zabaan se le sakte heN :)

jaise lafz hai "iradah" agar voh kisee she'r meN maujood hai aur iskee vajah se wazan meN farq aa raha hai tu aap ise " a'zm " kar sakte heN jiska mafhoom vohii hai jo iradah kaa hai lekin Huroof kam heN.


P.S. yeh tafseel KhuSusan Fahad ke liye hai :)

Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch
« Reply #9 on: July 26, 2006, 10:10:23 AM »
:) It was just for fun nothing else
Bebaksh e agan man haraben gap e korta


Brother mere Khayaal se is meN ma'azrat karne kee zaroorat naheeN hai. insaan ek doosre se pooch kar yaa ek doosre ko bata kar apnii aur doosrooN kee ma'aloomat meN izafah kartaa hai. :)


Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline Wadareeg وداریگ

  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 506
  • Karma: 66
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch
« Reply #10 on: July 26, 2006, 12:29:05 PM »
Ok menat war for telling us about urdu Parcha kay mai sarpad tha baluchi 40% persian hai aur urdu kamo persian labz se bana hai only few words of persian makes difference between urdu and hindi tow mai urdu q bolon baluchi q nahi jab kay woh 40% persian hai aur urdu mai kamo persian labz istemaal hota hai
lekin mujh ko kabar nahi tha kay urdu mai arbi labz ham hai jab urdu mai punjabi ho saktha hai hindi ho saktha hai then baluchi will look Great with urdu infront of urdu people :)

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #11 on: July 26, 2006, 08:20:16 PM »
Quote
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey

 I think sunder is a hindi word  :hehe:  :mrgreen: Its not urdu
Although you tried alot as i can see but some time it happens
Any way it was just for fun dont take my words on heart
 




Brother, Urdu Adab meN ab Hindi aur Punjaabi alfaaz kee ijazat asaatizah ne bhi de dee hai keh Pakistan meN Urdu Adab ko aage baRhaane waale Punjabi heN aur Hindustan ke beshtar ilaqooN meN Urdu ke oopar hindi ka tasslut aa gayaa hai.

is se qabl Urdu meN Arabic aur faarsi kee hee ijaazat thee.

Lekin ek baat ko yaad rakhnaa ashad zaroori hai keh shaahiree yaa nacr meN koyii bhi tarkeeb (do lafzooN ka murakkab) banate waqt do muKhltalif zabanooN ka intiKhaab nah kiyaa jaaYe keh Urdu shaahiree meN iskee ijazat naheN hai.
jaise shaam-o-saHar (donoN alfaaz faarsi ke heN) lail-o-nahaar (donooN alfaaz Aarbi ke heN) poorab-pacham (donooN alfaaz hindi ke heN ) kee khulee aazaadii hai. agar shaahiree vazan meN hai aur kisee ek lafz kee maujoodgii kee vajah se uske vazan meN farq aa raha hai tu aap use ham wazan - ham ma'ana lafz doosree zabaan se le sakte heN :)

jaise lafz hai "iradah" agar voh kisee she'r meN maujood hai aur iskee vajah se wazan meN farq aa raha hai tu aap ise " a'zm " kar sakte heN jiska mafhoom vohii hai jo iradah kaa hai lekin Huroof kam heN.


P.S. yeh tafseel KhuSusan Fahad ke liye hai :)



salam sis zahida
mujey to pata hi nahi chala aur yahan merey sunder ,lafz ,ney atna problem ker diya :mrgreen:,
wesey ager urdu adab ka mutala kiya jaye to hame urdu poetry mein had sey ziyada hindi lafz peRneY ko mileiN  gey ,wesey to sister app ney bohot si masaleiN pesh ki heiN .merey khayal sey samagney keliye bohot hay  :),,,lakin sirf atna khena chahon gi key tankid kerney sey pheley ager urdu adab key barey meiN studay ker li jaye ,to wo tankid mayari ho gi ,lakin jab tak  mukamal malomat na ho to tankid kerna fozol hay . :)
Naheed Umer Baloch

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~Fahad Naseer Baloch
« Reply #12 on: July 27, 2006, 10:02:24 AM »
Quote
umed kerti hon app asi tara khobsurat lafzoon ki mala poro ker sunder tehrir likhtey raho gey

 I think sunder is a hindi word  :hehe:  :mrgreen: Its not urdu
Although you tried alot as i can see but some time it happens
Any way it was just for fun dont take my words on heart
 




Brother, Urdu Adab meN ab Hindi aur Punjaabi alfaaz kee ijazat asaatizah ne bhi de dee hai keh Pakistan meN Urdu Adab ko aage baRhaane waale Punjabi heN aur Hindustan ke beshtar ilaqooN meN Urdu ke oopar hindi ka tasslut aa gayaa hai.

is se qabl Urdu meN Arabic aur faarsi kee hee ijaazat thee.

Lekin ek baat ko yaad rakhnaa ashad zaroori hai keh shaahiree yaa nacr meN koyii bhi tarkeeb (do lafzooN ka murakkab) banate waqt do muKhltalif zabanooN ka intiKhaab nah kiyaa jaaYe keh Urdu shaahiree meN iskee ijazat naheN hai.
jaise shaam-o-saHar (donoN alfaaz faarsi ke heN) lail-o-nahaar (donooN alfaaz Aarbi ke heN) poorab-pacham (donooN alfaaz hindi ke heN ) kee khulee aazaadii hai. agar shaahiree vazan meN hai aur kisee ek lafz kee maujoodgii kee vajah se uske vazan meN farq aa raha hai tu aap use ham wazan - ham ma'ana lafz doosree zabaan se le sakte heN :)

jaise lafz hai "iradah" agar voh kisee she'r meN maujood hai aur iskee vajah se wazan meN farq aa raha hai tu aap ise " a'zm " kar sakte heN jiska mafhoom vohii hai jo iradah kaa hai lekin Huroof kam heN.


P.S. yeh tafseel KhuSusan Fahad ke liye hai :)



salam sis zahida
mujey to pata hi nahi chala aur yahan merey sunder ,lafz ,ney atna problem ker diya :mrgreen:,
wesey ager urdu adab ka mutala kiya jaye to hame urdu poetry mein had sey ziyada hindi lafz peRneY ko mileiN  gey ,wesey to sister app ney bohot si masaleiN pesh ki heiN .merey khayal sey samagney keliye bohot hay  :),,,lakin sirf atna khena chahon gi key tankid kerney sey pheley ager urdu adab key barey meiN studay ker li jaye ,to wo tankid mayari ho gi ,lakin jab tak  mukamal malomat na ho to tankid kerna fozol hay . :)





Azeezah Naheed: Aadaab,

yahaN ek dichasp beHec chal niklee hai.
ham sab seekhne ke marHale meN heN so kisee ko bhi kisee kee baat dil peh naheeN lenee chahiye.

Lion of desert ne ek mazaaq kiyaa thaa aur maiN ne chalte chalte uskee tafseel bayaan kar dee. :) keh mazaaq mazaaq meN kuch seekhna sikhaana ho tu koyii muzaahiqah naheeN hai. :)


aap ka kehnaa baja hai keh tanqeed ke liye mut^ale'ah karnaa bohat zaroori hai lekin maiN is meN bhi ek ehm nuktaa zaroor batanaa chahooNgii keh study ke liye mayaarii kutub ka honaa zaroori hai.

Parveen shakir SaaHebah ko bohat se eHbaab ustaadooN ka darjah dete heN jabkeh unkee bohat see taKhleeqaat (sarqah yanii asaatizah kee jaan boojh kar naql ) aur tavarrud (laashauree taur par unke zameenooN kee mumacilat) ke zumre meN aatee heN. isee taraH se ek meHfil meN ek Buzurg shaahir, bohat se mashoor GhazlooN kee zameeneN le kar munfaird tajrube ke naam se shaya'a karvaate heN aur naye likhne waale unke bataYe gaye uSoolooN ko ehm maante heN.

seekhne ke marHale meN laazmii hai keh zehn o dil khule hooN, tanqeed bara-e-tanqeed aur tanqeed bara-e-iSlaaH donoN ke lie ham tayaar hooN. ham meN Khud-eHtsaabii ka ma'adah bhi maujood ho (yanii apnii taKhleeq par tanqeedi aur iSlaaHii nigah d'aalna zaroori hai) aur standard books kee study bhi bohat laazmii  hai taa keh kam az kam shaahiree meN bunyaadii cheezooN ka agar  imtiHaan liyaa jaaYe tu ham pass kar sakeN.

Ata Shad Urdu adab meN ek baRaa naam hai aur unko yeh maqaam is liye mil sakaa hai keh voh adab kee bunyaadiyaat ko kabhi bhi ignore naheeN karte the.


Umeed kartee hooN keh meree is tafSeel ko aap macbat hee leNgee.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline yesbarbie

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 25
  • Karma: 0
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch
« Reply #13 on: July 27, 2006, 01:45:37 PM »
hi  u  people r baloch but u people r discussing wether  it is a urdu word or persian or a hindi word.  :(( ap sub apnai  zuban kay baray main souchin balolochi may wathi shahdain  zuban inth. hi fahad where r u  now adays r u in turbat r somewhereelse.reply me on my email adress i.e. yesbarbie17@hotmail.com

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Tera Intezaar Karti HeiN~~~Fahad Naseer Baloch
« Reply #14 on: July 29, 2006, 03:33:59 PM »
Thankx Yesbarbie For Liking The Poem....But Brother Plz Introduce Yourself In Introduction Section So That We Know U That Who Are you...